Monday, 9 April 2012

wo kagaz ki kashti.......wo barish ka pani...

Ham sabhi ne apni zindagi me kabhi na kabhi koyal ki kuk to zarur suni hogi,par aaj wo madhur awaz kahi ghum si ho gayi hai.................lekin agr dekha jay to koyal ki kuk hi kya,aisi kitni pyari chize hai jo aaj k is daur me kho si gyi h,koi namo-nishan nai..................jaise wo kabhi thi hi nai,par un sabhi chizo ki yade aaj bhi hamare zehan me tazaa h.jaise ap sabko apna bachapan ache se yad hoga na.........wo manmauji azadi k din,wo hasi thitholi,wo shararte,wo yun hi kahi bhi chale jane ki azadi,wo alag alag tarah k anginat khel,wo ruthna manana,wo gir kar sambhalna...........................oh mai to apne bachpan me hi chali gyi thi par sach me ap b bachpan ki yado me ghum ho gye hoge na.wo daur tha hi aisa k bhulaye nai bhulta,dhul me ate bal,pasine se bhige chehra,badan par kharoche  fir bhi khelne ka josh kam nai hota tha.aj bhi jab us daur ko yad karti hu to ek gudgudi si hoti hai,sara din bas doston k sath guzarte te,school se akar kitabe fenki aur fir nikal gaye khelne,bhuk thakan ka koi ehsas hi nai..............sikdi,kanche,aayis paayis,gilli danda,pausam pa,baraf pani aise kitne khel the jinhe khelte waqt bas lagta tha yahi zindagi hai hamari bas isme jit jay to sab mil jayga.............kitni masoom soch thi na.
Par aaj...........aaj kya hai..........kuch nai na wo kancho ki chatak,na wo gilli ka udna,na wo sikdi ka uchalna aur na hi meri ped k piche chupi wo dost.aaj to video gem aur play station me jhujhte,pith par bhari sa bag n mathe par sabse aage nikalne ki fikr liye,mobile aur laptop ko apni choti ungli se chalate hue bache dikhte hai,unki ungliya ab kancho par nai keyboard par thirakti hai,unhone  gilli ka nam nai suna par har computer game se wo waqif hai.............kitna badal gaya hai na sab aur bache hi nai parents bhi to kitne badal gaye,hamare waqt me to mammy ko pata hi nai hota ta k ham kha khelne gye h pure mohalle me dhundhwaye jate the aur aj to har bacha bas apne parents ki ankho k samne computer me laga hai aur wo bhot khush hai k hamra bacha to hamari ankhon k samne hai  aur apna bachapan ji rha h.par kya wo sahi mayne me apna bachapan ji rha,ek hi kamre me computer ya mobile me game khel kar wo kya paa rha hai.................wo apne aage ki life k liye ek mota chashma aur dher sari bimarion ki saugat paa rha hai.ap khud sochiye wo khule maidano me hawa k sath khelte bache jyada healthy the ya ye aj ki computer generation,wo masoom bache pyare te ya aj k hazir-jawab aur apni umar se bade bache ...........ap ek bar soche,jawab apke samne hoga.hamne aage badne aur hi-tech banne ki chakkar me bacho se unki wo mausmiyat unka wo bachapan chin liya hai,aj ka bacha har wo chiz janta to shayad umar k is daur me use nai pata honi chahiye thi,uske zimmedar bas ham aur aap hai kyonki aj bcha paida hote hi mobile dekhta h ham uske hatho me gilli ka danda nai computer ka mouse pakdate hai,to bacha aur sikhega kya???????????
apne bachpan ka ek gana muje yad aa rha hai..........AAYA RE KHILONE WALA,KHEL-KHILONE LEKE AAYA RE...............par aj na wo khilone hai na khel,par mai chahti hu k mai apni ankh band karu aur jab kholu to muje cpmputer aur mobile me lage bacho ki jagah wo khule maidano me befikri se khelte bche dikhayi de,wo barish se darker ghar me dubakne wale bache nai balki barish ki bundo se jhagdte aur kagaz k naw chalate bache dikahyi de..................ant me bas yahi kehna ..............MAGAR MUJHKO LAUTA DO BACHAPAN KA SAWAN,WO KAGAZ KI KASHTI WO BARISH KA PANI..................

Sunday, 25 March 2012

interview




papa ki pari..........rekha pachaurri.......yahi line inki shakhsiyat par fit baithi hai.fatiyabad me janmi,ghar bhar ki ladli rekha lucknow university me mass comm ki chatra hai.excited,talented and versatile rekha hamesha se hi iss field me ana chahti ti...........aayiye jante hai inka ab tak ka safar aur inse rubaru hote hai......

ques-apni zindagi ki shuruaat k bare me bataiye,schooling kaha se hui hai apki?
ans-kyonki mere papa bank me hai to kafi alag alag jagah maine padai ki hai,sabse pehle rajasthan me maine apni shuruaati padai ki uske bad mai fatiyabaad aa gayi waha maine 8th tak padai ki fir agra se maine apna graduation kiya aur ab lucknow university se MJMC kar rahi hu.

ques-graduation apne kaha se aur kis subject se kiya hai?
ans-maine DAYALBAGH EDUCATIONAL INSTITUTE se Bsc zoology(hons.) kiya hai.

ques-dayalbagh me gradution krne se pehle ek sal apka drop bhi hua hai,kyun?
ans-main pehle BIO-TECH karna chahti thi after 12th lekin agra me BIO-TECH k ache institute nai te aur kyonki mai sabse choti hu to mere parents muje bahar bhejna nai chahte the aur mai AGRA UNIVERSITY me padna nai chahti thi isliye for the time being maine waha graduation me admission le liya aur agle sal apne favourite DAYALBAGH EDUCATIONAL INSTITUTE me snatak krne chali gyi,isliye mera ek sal drop ho gya.

ques-us samay apko BIO-TECH me interest tha fir zoology(hons.) aur ab JOURNALISM .........itna fluctuation kyun?
ans-bachpan se agar interest ki bat ki jay to mujhe extra curricular activities bhot pasand ti aur mai actively participate bhi krti thi.wo ek platform tha jo mai apne liye ghar me hi taiyar kar rai thi.BIO-TECH hamesha se hi mere liye secondary option tha aur mass comm meri pehli pasand thi lekin ye bat maine hamesha chupa ke rakhi ti kyonki us samay mass comm k scope k bare me mujhe itni jankari nai thi,mujhe bas itna pata tha ke TV par jo news padte h wo mass comm krte hai iske alava mujhe aur kuch nai pata tha to meri didi ne mujhe salah di k pehle graduation kar lo fir apne man ki field chun lena.

ques-to Bsc k bad jab MJMC karne ka number aya to fir apke parents ka kya reaction tha?
ans-jab maine mummy papa ko mass comm karne k bare me bataya to mujhe kafi sawlaaton ka samna karna pada par maine unhe convince kiya k is field me mai hamesha se interested rahi hu aur isme acha kar sakti hu,maine apne parents se bas yahi kha ki mai science me pad kr usme bura karu isse acha hai mai mass comm padu agar kuch nai kar payi to bhi kam se kam ye satisfaction to rahega ki maine apne man ki suni.

ques-job ka koi experience?
ans-jab mai AGRA UNIVERSITY me thi tab maine apne pehli job ki thi as a news anchor in a local news channel aur ye mere career ki taraf pehla kadam tha.uske bad dusri job maine apne mass comm diploma k sath sath ki thi wo bhi as a news anchor cum reporter.

ques-agra se lucknow tak ka safar kaisa raha?
ans-agra se lucknow tak ka safar bhot mazedar raha.agra me maine bhot masti ki hai life bhot enjoy ki hai apni parents k sath par apni marzi se,lucknow jab ayi to bahot excited thi kyonki yha mai apna sapna pura karne aayi hu aur shehar b badal raha tha baqi to log yaha par b waise hi hai jaise waha the,yaha par bhi sabse milti hu waha par bhi milti thi.ab is shehar ki aabo-hawa bhi apni si lagti hai is shehar k raston se niklo to lagta hai k ye apna hi shehar hai.

ques-aap yaha hostal me rehti hai to kaisa lagta hai,log kaise hai,mahaul kaisa hai?
ans-hostel k log ache hai bahot supportive hai.hostel me mera doston ka dayra utna bada nai hai,bahot kam logon se meri jan pehchan hai par jitne bhi logon se mai touch me hu wo sab bahot ache hai n un logon ka kafi support bhi rehta hai.

ques-daily routine,subah se lekar rat tak ka pura din kaise bitati hai?
ans-subah 7 baje uth jati hu fresh hokar puja karna aur fir nashta karke class k liye chali jati hu,classes k bad agar friends k sath kahi jane ka plan hota hai to ghumne jate hai varna wapas hostel waise mai hostel jaldi ane ki koshish karti hu kyonki waha ek library hai jiska use karna mujhe pasand hai,library k bad fir thoda din me sona b pasand hai fir sham me class me jo pdaya gya uska rivision uske bad sham ki puja,doston k sath thodi si ghupshup,fir khana kha kar walk karna aur fir padai krke so jati hu.

ques-jaise ki apne bataya k aap shuru se hi is line me jana chahti thi par JOURNALISM me apko career banana hai ye apne exactly kab decide kar liya tha?
ans-mera interest hamesha se hi tha lekin us interest ko ek direction nai mili thi,ek proper guidance nai tha mere pas par jab maine apni pehli job ki as a anchor,tab ye mera passion ban gaya kyonki maine is field ko apne se kafi kareeb paya,usse pehle tak bas lagta tha k muje TV par ana hai par actually us field me kam karke mujhe laga k bas yhi meri manzil hai.

ques-ap kis tarah ki insan hai,apni shakhsiyat k bare me bataiye?
ans-apne bare me mujhe lagta hai k mai kafi mature hu main situations ko tackle kar leti hu chahen wo achi ho ya buri.main thodi aggressive bhi hu jab mujhe kisi ki baat kharab lagti hai to mujhe gussa ata hai lekin ye bas waqti gussa hota hai main kisi ke liye dil me dushmani nahi rakh sakti hu.

ques-kharab aadat gusse ke alawa?
ans-neend zyada ati hai.

ques-agra ki rekha aur lucknow ki rekha me kuch fark mehsus kiya hai?
ans-agra ki rekha thodi si mast maula zyada thi kyunki waha parents ka support tha to masti zyada karte the.lucknow ki rekha zyada career oriented hai,mijhe bas apna career dikhta hai iske alawa main kuch dekhna bhi nahi chahti.

ques-pyar ke bare me apke kya khayalat hai,kya apne kabhi iska anubhav kiya hai?
ans-pyar ek bahut achi feeling hoti hai,actual me ye bahut pyara ehsaas hota hai,mere hisab se jab kisi ko bhi ye gift milta hai to use iski kadr karni chahiye aur rahi personal experience ki bat to ek daur me attraction sabko hota hai par main in sab cheezo me padna nahi chahti.

ques-print media ya electronic media aur kyun?
ans-electronic media,kyunki hamesha se hi news anchor banna chahti thi,job bhi ki to bhi as a newsanchor aur mera writing se zyada presentation me interest hai.

ques-life ki ab tak ki sabse badi galti jiska apko aj bhi pachtava hota hai?
ans-haan ek bar aisi galti ki thi,maine apne ek teacher se jhut bola tha ki meri tabiyat kharab hai aur mujhe ghar jana hai usi samay unhe pata chal gaya tha ki main kaha ja rahi hu aur unhone mujhe bahut daata aur puri class me kafi humiliate kiya tabse maine kaan pakad liye ki aisi galti dobara nahi karungi.

ques-aisa kaun sa moment hai jab apko apne aap par bahut proud feel hua ho?
ans-mere liye sabse zyada proud moments wahi the jab maine apne mass comm ke diploma me top kiya tha aur abhi MJMC 1st sem me top kiya,kyunki maine apne parents ko ye prove kar diya ki maine ye line chun kar koi galti nahi ki.

ques-10 saal bad apne aap ko kaha dekhti hai?
ans-10saal bad main apne aap ko ek achi housewife aur ek achi news reporter/anchor dekhti hu.

ques-agar apko shaadi ke liye ladke ki inn 3 qualities me se ek ko chunna pade to ap kya chunengi,surat,sirat,paisa?
ans-sirat;kyunki paisa to shayad main bhi kama lu aur shakal itni mayne nahi rakhti,sirat achi honi chahiye kam se kam mere liye loyal to rahega.

ques-passionate kis chiz ke liye hai journalism ke alawa?
ans-dancing,i love dancing,din bhar me ek bar to dance karti hi hoon.

ques-kis tarah ki movies pasand hai aur kis tarah ki bilkul nahi pasand?
ans-mujhe sensible movies pasand hai jisme kuch sense ho,ye na lage ki paise waste kiye aur mujhe aisi movies nahi pasand jo main apni family ya friends ke sath na dekh paun.

ques-to dirty picture ke bare me apka kya khayal hai apne dekhi hai?
ans-haan,dirty picture maine apni ek friend ke kehne par dekhi aur sach me mujhe bahut achi lagi aur movie me unnecessary vulgourity nahi hai aur isme ek aurat ka sangharsh dikhaya hai.

ques-suppose ke apko ek news channel me prime time me news anchor ki job mil rahi ho aur apke parents nahi man rahe wo apki shadi karana chah rahe hai to aap kya karengi,ek taraf apka sapna aur ek taraf family?
ans-main apni family ki baat maan lungi aur apna sapna chor dungi,kyunki main father se bahut attach hu aur main unki bat knahi taal sakti.

ques-kya kabhi aapne apne niji swarth ke liye apne kisi ache dost ko dhokha diya hai ya aage kabhi de sakti hain?
ans-professionalism aur dosti dono hi mere liye bahut important hai par dono hi bahut alag cheeze hai.maine apne niji swarth ke liye na aisa kabhi kiya hai na kabhi karungi.

ques-ideal kaun hai apka?
ans-mere papa.

ques-journalist nai to kya hoti?
ans-dancer.

ques-future plans kya hai apke?
ans-bas yahi ki iss field me ache se acha karna hai apna best dene ki koshish krna hai,aage jo mere papa kahe.

ques-sabse kareeb kaun hai family ko chorkar?
ans-meri dost nikita,usse mai sabkuch share karti hu.

ques-kisi chiz ki addicted hai?
ans-haan apne kam k liy addicted hu,apne kam ko lekar mai bhot serious rehti hu jab apne kam ka nasha mujhe chadta hai to kuch dikhayi nai deta hai.

ques-dosti,apki nazar me?
ans-dosti k ek bhot pyara rishta hai jab apko zarurat hoti hai to ek dost hi sabse pehle khada hota hai apki madad k liye.

ques-agar apki koi dost apse jyada age badti hai to kya apko jalan hoti hai usse?
ans-nai,agar mera koi bahot acha dost hai to mujhe bilkul bhi jalan nai hoti hai,jaise abi play me meri dost archana ko best actor ka prize mila ta to mai sabse jyada khush thi na ki jealous.

ques-professionalism ko kitni tarjeeh deti hai,wrong means shotcut ya right means longcut,ap kua chunegi?
ans-right means longcut.professionalism mko bahot tarjeeh deti hu par mai apni professional life ko personal life se bilkul alag rakhti hu.

ques-dusro k mutabiq ap dikhati hai  k ap bahot broadminded hai par asal me ap narrowminded hai,ap kya kahengi?
ans-ha kuch chizo ko lekar ami vastav me narrowminded hu,logon se milna julna apna social dayra bdane me koi pareshani nai hai par kuch chize jo mai manti hu jaise gandi zaban bolna,filmo me vulgourity aur mai ise narrow mindness nai traditional kahugi.

ques-logo ka ye b kehna hai k apme attitute problem hai,ap show off karti hai aur apke andar ghamand bhi hai,apka kya kehna hai?
ans-nai mai ghamandi nai hu,mai itni intelligent to hu nai k ghamand karu abhi mujhe bahot sikhna hai jo log muje sach me jante hai wo kabhi ye nai kahege k mai proudy hu baqi logo k bare me mai nai keh sakti.aur rahi show off ki bat to agr amine koi kam kiya hai to ami mana nai krugi k maine nai kiya,agar mujhe kuch aata h to mai wo krugi isme logo ko agr dikhawa lagta hai ti i cant help them.

RAPID FIRE-

pragati/archana - pragati

paisa/pyar - pyar

dosti/pyar - dosti

acting/anchoring - anchoring

agra/lucknow - agra

bollywood/politics - politics

rahul gandhi/akhilesh yadav - koi nai

sari/jeans - sari

dil/dimag - dil

laptop/mobile - laptop

mukul sir/brij khandelwal sir - mukul sir